Raat Bhar Sharab Pee Kar Uski Yaadon Ko Bhula Raha Tha…
Ab Na Aayegi Laut Kar Ye Baat Dil Ko Smjha Raha Tha…
Dekhte Dekhte Mai Nashe Me Gum Ho Gya…
Pata Hi Na Chla Uske Khyalo Me Kho Kar Kab So Gya…
Sapne Me Dekha To Wo Mere Pas Khadi Thi…
Uski Aankho Se Bah Rahi Ashko Ki Ladi Thi…
Kahne Lagi Maine Tumhe Chhod Kar Pachhta Rahi Hu…
Magar Fikar Na Karo Mai Tumhe Apne Pas Bula Rahi Hu…
Ankhe Kholo Aur Dekho Kitne Log Aaye Hai…
Sabne Tumhare Liye Ankho Me Aansu Sjaye Hai…
Aaj Itihas Badal Raha Hai…
Smaj Ladki Ki Jagah Ladke Ko Vida Kar Raha Hai…
Dekha To Sach Me Meri Lash Arthi Pe Padi Thi…
Meri Maa Use Dekh Paglo Ki Tarah Ro Rahi Thi…
Baba To Mano Bejan Se Hogye The…
Apni Lash Ko Dekh Sare Arman Na Jane Kaha Khogye The….
Sab Logo Ne Hatho Se Nahlaya Mujhe…
Safed Chamchmata Kafan Panaya Mujhe…
Fir Meri Barat Lekar Rote Huye Shamshan Ki Aur Chal Diye…
Mere Armano Ke Sath Mere Jism Ko Bhi Jala Diya…
Jab Jala Mera Jisam To Aankh Fat Se Khul Gyi….
Uth Ke Dekha To Sapna Tha Ye Soch Dil Ki Kali Khil Gyi…
Ek Sapne Ne Sikha Diya Ke Zindagi Kitni Kimti Hai…
Isme Maa Baap Dost Bhai Ka Bhi Hak Hai Bas Ye Mashooq Ke Hi Ird Gird Nhi Simti Hai…
Usi Din Se Botal Ko Tauba Kar Ke Mai Jeena Seekh Gya…
Dard To Ab Bhi Hota Hai Magar Mai Dard Peena Seekh Gya…
0 Comments