Is dil ne tere baad mohabbat bhi nahi ki
Hadh yeh ki dhadakne ki jasaarat bhi nahi ki
Tabeer ka aizaz hua hai use haasil
Jisne meri khwabon mein sharakat bhi nahi ki
Ulfat to barri baat hai hum se to sir-e-sheher
Logo ne kabhi dhang se nafrat bhi nahi ki
Aadab-e-safar ab wo sikhate hain jinho ne
Do chaar qadam tay yeh musaafat bhi nahi ki
Kya apni safai mein bayaan daity ke hum ne
Nakarda gunahon ki wazahat bhi nahin ki
Khamosh tamashaai k emanind sir-e-bazm
So zakhm sahay dil pe, shikayat bhi nahin ki
Us ghar ke sabhi log mujhe chodne aaye
Dehleez talak us ne yeh zehmat bhi nahin ki
Us ne bhi ghulamon ki safon mein humain rakha
Is dil pe kabhi jis ne hakoomat bhi nahin ki. . !
0 Comments